Joh teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usse tadpana, o zaalima, o zaalima
Joh tere ishq mein behka pehle se hi
Kya usse behkana, o zaalima, o zaalima
Joh teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usse tadpana, o zaalima, o zaalima
Joh tere ishq mein behka pehle se hi
Kya usse behkana, o zaalima, o zaalima
Aankhen marhaba, baatein marhaba
Main sau martaba deewana hua
Mera na raha jab se dil mera
Tere husn ka nishana hua
Jiski har dhadkan tu ho
Aise dil ko kya dhadkana, o zaalima, o zaalima
Joh teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usse tadpana, o zaalima, o zaalima
Saanson mein teri nazdeekiyon ka
Ittar tu ghol de, ghol de
Main hi kyun ishq zahir karun
Tu bhi kabhi bol de, bol de
Saanson mein teri nazdeekiyon ka
Ittar tu ghol de, ghol de
Main hi kyun ishq zahir karun
Tu bhi kabhi bol de, bol de
Leke jaan hi jayega meri
Qatil har tera bahana hua
Tujhse hi shuru, tujhpe hi khatam
Mere pyar ka fasana hua
Tu shamma hai toh yaad rakhna
Main bhi hoon parwana, o zaalima, o zaalima
Joh teri khatir tadpe pehle se hi
Kya usse tadpana, o zaalima, o zaalima
Deedaar tera milne ke baad hi chhute meri angdaai
Tu hi bata de kyun zaalima main kehlayi
Kyun is tarah se duniya jahan mein karta hai meri ruswaai
Tera kusoor aur zaalima main kehlayi
Deedaar tera milne ke baad hi chhute meri angdaai
Tu hi bata de kyun zaalima main kehlayi
Tu hi bata de kyun zaalima main kehlayi