Noor-e-khuda
Ho o ho ... ho o ho
Noor-e-khuda
Ajnabi modh hai
Khauf har aur hai
Har nazar pe dhuan chha gaya
Pal bhar mein jane kya kho gaya
Hmmm aasmaan zard hai
Aahein bhi sard hai
Tann se sayaa juda ho gaya
Hmmm pal bhar mein jane kya kho gaya
Saans ruk si gayi
Jism chhil sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahaan chal diya
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahan chupa hai hum mein yeh bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazarein phira
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahan chupa hai hum mein yeh bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazarein phira
Noor-e-khuda
Ho nazarein karam farma hi de
O deen-o-dharam ko jaga hi de
Ho jalti hui tanhaiyan
Roothi hui parchaiyan
Kaise udhi yeh hawa
Chaya yeh kaisa samaan
Rooh jam si gai
Waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahaan chal diya
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Tu kahan chupa hai hum mein yeh bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Yoon na humse nazarein phira
Noor-e-khuda
Ujdhe se lamhon ko aas teri
Zamkhmi dilon hai pyaas teri
Har dhadkan ko talash teri
Teri milta nahi hai pata
Khali aankhen khud se sawaal kare
Aman ki cheenkh behaal kare
Behta lahu fariyad kare
Tera mitta chala hai nishan
Rooh jam si gai
Waqt tham sa gaya
Toote khwabon ke manzar pe
Tera jahaan chal diya
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Aaj kal tu kahan hai yeh bata
Noor-e-khuda, noor-e-khuda
Kya yeh sach hai tu hai humse khafa
Noor-e-khuda