Bol meri taqdeer mein kya hai mere humasafar ab toh bata
Jeevan ke do pehlu hai hariyali aur rasta
Kahan hai mere pyar ki manzil tu batla tujhko hai pata

Jahan hum aake pahunche hai wahan se lautkar jana
Nahi mumkin magar mushkil hai duniya se bhi takrana

Tere liye hum kuch bhi sahenge, tera dard ab dard mera
Jeevan ke do pehlu hai hariyali aur rasta
Bol meri taqdeer mein kya hai mere humasafar ab toh bata
Jeevan ke do pehlu hai hariyali aur rasta
Tumhare khwaab se dilkash nazara aur kya hoga
Ke tum mere sahare ho sahara aur kya hoga

Khush hoon tu jis haal mein rakhe, teri thi teri hoon sada
Jeevan ke do pehlu hai hariyali aur rasta
Kahan hai mere pyar ki manzil tu batla tujhko hai pata
Jeevan ke do pehlu hai hariyali aur rasta
Meri raaton ke pehle khwaab ka taara nahi toota
Yeh kya kam hai kabhi mujhse mera bachpan nahi rootha

Aag aur pani ek hai mujhko dil mein hai jab tak pyar tera