Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh joh rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main joh tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main joh tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Kaisi khala yeh dil mein basi hai
Ab toh khataayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh joh rehmat se gira
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main joh tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Aye khuda, aye khuda
Itni khataayein tu lekar chala hai
Daulat hi jaise tera ab khuda
Har pal bitaye tu jaise hawa hai
Gunah ke saaye mein chalta raha
Samandar sa behkar tu chalta hi gaya
Teri marzi poori ki, tune haan har dafaa
Tu hi tera mujrim bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main joh tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Kyun judta is jahaan se tu
Ik din yeh guzar hi jayega
Kitna bhi samet le yahan
Mutthi se phisal hi jayega
Har shaksh hai dhool se bana
Aur phir us mein hi ja mila
Yeh haqeeqat hai tu jaan le
Kyun sach se mooh hai pherta
Chahe joh bhi hasrat poori kar le
Rukyegi na fitrat yeh samajh le
Mitt jayegi teri hasti
Bhar na payega yeh dil bandeya
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main joh tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya
Agar tu soche tu hai gira
Mere haath ko thaam uth zara
Tere dil ke dar pe hoon khada
Mujhko apnale tu zara
Tu kahe tu hai saaye se girah
Teri raahon ka main noor hoon
Tere gunah ko khud pe le liya
Meri nazaron mein bekasoor tu
Aisa koi manzar tu dikhla de
Mujhe koi shaksh se milwa de
Aise koi dil se tu sunwa de
Ke zakhm koi usse na mila
Aye khuda, gir gaya, gir gaya
Main joh tujhse door hua
Lutt gaya, lutt gaya